03 May 2017

VIDEO : WhatsApp New Pin Chat Feature

Hello Guys, Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise Aap Apne Android Phone Me Photos, Videos, Apps Ko Hide Kar Sakte hai Ya Use Lock Kar Sakte Hai Taki Aapke Siwa Or Koi Use Dekh Na Sake. Agar Aapne Wo Post Nahi Padhi To Yaha Click Kare Or Abhi Wo Post Padhe.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke New Feature Ke Bare Me. WhatsApp Ne Haal Hi Me Nahi Pin Chat Feature Ki Update Add Ki He. Ye New Feature Ke Sath Hi WhatsApp Ko Use Karna Kafi Asaan Ho Gaya He.

Kya He Pin Chat Feature ?

WhatsApp Ke Ye New Pin Chat Feature Ko Use Karna Bohot Hi Asan He. Agar Aapke WhatsApp Me Bohot Jyada Group He, Ya Bohot Jyada Conversation He To Ese Me Aapko Koi Ek Conversation Ya Chat Ko Dhundne Me Kafi Taklif Hogi Or Bohot Scrolling Karne Ke Baad Jake Aapko Wo Chat Ya Conversation Milega.

To Ese Me Aap Koi Chat Ya Conversation Ko WhatsApp Ke Chat Section Me Top Pe Pin Kar Ke Rakh Sakte Hai. Ya Yu Kahe Ki Aap Apne Favorite Chat Ya Group Ko Pin Kar Ke WhatsApp Ke Home Page Me Top Pe Rakh Sakte He. Jisse Aapko Wo Chat Ya Group Ko Scrolling Kar Ke Dhundne Ki Jaroorat Nahi Rahegi.

Kaise Use Kare Pin Chat Feature ?

WhatsApp Ka New Pin Chat Feature Use Karne Ke Liye Aap Ko Koi Bhi Chat Ya Group Jise Aap Pin Kar Ke WhatsApp Ke Home Page Pe Top Pe Rakhna Chahte He. Us Chat Ya Group Pe Aapko Tap & Hold Kar Ke Select Karna Hoga. Jo Bhi Chat Ya Group Ko Pin Karna Chate He Use Select Karne Ke Baad Aapko WhatsApp Ke Upar Ke Hisse Me Ek Pin Ka Icon Milega. Aapko Uspe Bs Ek Click Krni He Or Aapke Jo Bhi Selected Chat Ya Group Hoge Wo Sabhi WhatsApp Ke Home Page Me Top pe Hi Pin Ho Jaege. Or Aap Use Asani Se Use Kar Sakte He.

VIDEO Dekh Ke Sikhe 

Agar Aap Is Post Ko Padhne Ke Baad Bhi Thik Se Samaj Nahi Paa Rahe Ki WhatsApp Pin Chat Feature Ko Use Kaise Karna He. To Aap Post Ke Niche Diye gaye Video Ko Dekh Ke Bhi Sikh Sakte He. Video Pasand Aae To hamari YouTube Channel Ko SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.